Psalm 91

           Parmeshvar Hamara Rakshak
Jo Param Pradhan ke chaye huye Esthan Mein-
Baitha Rahe.
                        Vah Sarvsaktiman ki Chaya Mein Thikana Payega.Main Yahowa ke Visay Kahunga ki Vah mera Gad Hai Vah Mera Parmeshvar Hai 
Main Uspe Bharosha Rakhunga.
         Vah to tujhe Baheliye Ke Jaal se Aur Mahamari Se Bachayega.Vah Tujhe Apne Pankho Ki Aad Mein Lelega Aur Tu Uske Pairon ke Niche Saran Payega.
            Uski Sachhai Tere Liye Dhal Aur Jhilam Thahregi.
     Tu Na raat ke bahay se darega.
Na Us Tir se jo Din ko udta hai 
        Na Us Mari Se Jo Din Duphari Ujaadti hai.
Tere Nikat Hajar Teri Dahini Or Das Hajar Gireinge Parantu Vah Tere Paas Na Aayega.
Aur Tu Apni Aankho ki Drasti Karega Aur Dusman Ke Ant Ko Dekhega
         Hey Yahowa Tu Mera Saran Esthan Thahera Hai. 
      Tune Jo Param Pradhan Ko Apna Dham Maan Liya Hai.
     Esliye Koi Vipatti Tujh Par Na Padegi.
  Aur Na Koi Dukh Tere Dere Ke Nikat Aayega.
           Kyunki Vah Apne Duton ko Agya Dega Ki Jahan Kahin Tu Jaye Vah Teri Raksha Kare.
    Vah Tujhko haanto Haant Utha Lenge.
Jo ki Tere Paon Mein Patthar Se Thes Na Lage.
   Tu Sinh Aur Naag Ko Kuchlega.
        Tu Javan Sinh Aur Ajgar Ko Lataddega.
Usne Jo Mujhse Esneh Kiya Hai 
     Esliye Main Usko Chudaunga.Kyunki Usne Mere Naam Ko Jaan Liya Hai.
    Jab Vah Mujh Ko Pukarega.Tab Main Uski Sunuga. Sankat Mein Mai Uske Sang Rahunga.
     Main Usko Bacha Ke Uski Mahima Badaunga 
Main Usko Dirg Aau Se trapt Karunga.Aur Apne Kiye Huye Uddhar Ke Kaamon Ka DARSHAN Dikhaunga AMEN 

     

Comments